Lo Safar

Jubin Nautiyal

tumne jo hai maanga toh dil yeh haazir ho gaya
tumko maana manzil aur musafir ho gaya
lo safar shuru ho gaya humsafar tu ho gaya
lo safar shuru ho gaya mera humsafar tu ho gaya

dil ki bechaini ko aaya ab kahi aaram hai
tum naa ho toh sochta dil tujhko subah-o-shaam hai
iss qadar tu har ik pal main mere shaamil ho gaya
lo safar shuru ho gaya humsafar tu ho gaya
lo safar shuru ho gaya mera humsafar tu ho gaya

jabse tumne baah thaami raastein aasan hai
khushnuma hai meri subhein dilnashin har shaam hai
zindagi ke achhepan se main bhi waakif ho gaya
lo safar shuru ho gaya humsafar tu ho gaya
lo safar shuru ho gaya mera humsafar tu ho gaya

Tracker

All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes only.